Friday, June 1, 2012

nanhi paree

'Mere ghar aayee ek nanhi paree.' Meethee naam hai uskaa. 24 Nov. 2011 ke theek nau baje raat me Jyoti nurshing home me sijerian dwaaraa uskaa padaarpan hua. Daadaa-Daadee kee dularee apanee peedhee ki pahalee aur abhee tak kee akelee santaan hai. Daadaajee ne maa Saardaa ke naam par uskaa naam Vaani rakha hai. Yahee naam uske passport me ankit huaa hai.
                                                                                           Uske janm ke samay ki ek baat hameshaa yaad rahegee. Main, uskee daadee, Nutan, Sapnaa ki maan, Shishirjee, Dipu uske aagman kee prateekshaa kar rahe the.Nurse operation theatre se baahar laakar hamlogon ke kamre me de gayee. Winaa bakhshish ke daadee ke haath me nahee de rahee thi. Bharpoor bakhshish lekar hee jaan chhodee. Uskee daadee god me lekar palag par baith gayee. Abhee-abhee duniyaa me aayee Meethee kamare me upasthit sablogon ko ghoor-ghoor kar dekh rahee thee. Haath munh dhokar jab Dr Jyotee hamlogon ke kamre me aayee to hamlogon ne unhe bataayaa ki sabko ghoor rahee hai. Wah bolee-'operation table par se hee sabko ghoor rahee hai.' Ho sakta hai ki nirdhaarit tithi ke chaar din baad aane ke kaaran aisaa hua ho. Uske janm kee tithi dr dwaara chaar din poorva nirdhaarit thee. Hamlogon ne normal delivery kee prateekshaa kee. Jab labor pain kaa kuchh bhee sanket nahee milaa to doctor ne sigerian kaa faislaa liyaa.
24 Nov. 2012 ko uskaa pratham janm din thaa. Abhee wah apne maataa-pitaa ke saath United States ke Sen Antoniyo sahar me hai. Hamlog pratyek din skype par use dekhte hain aur baat karte hain. Apnee umra se bdee dikhtee hai. Apne dost Sahaanaa ke saath daily khelthee hai. Khilonaa ke liye dono doston me hameshaa jhagda hotaa rahtaa hai.
            Maa Saarde kee jarror kripaa hogee aur naam ke anuroop vidyaa prapt karegee.  

No comments:

Post a Comment