Saturday, June 2, 2012

SABSE BADAA-SABSE VRIHAT

Leelaajee ke sabse bade saadhoojee se aaj bhet huee. Sabse chhote saadhoo ki iklautee santaan Preetee kee saadee ek army ke Dr se 8.6.12 ko hone jaa rahee hai. Preeti swayan bhee doctor hai. Delhi me internship kar rahee hai. Ladke balon ne kaafee tyaag dikhaayaa hai. Unhone dahej men kuchh bhee lene se manaa kar diyaa hai. Ladkee ke pitaa Shree B.N. Chaudhary Bareli me J.K.Sugar men pratishthit pad par kaam karte hain. Seemit kharch ke chalte aarthik drishti se majboot hain. Inhone ek gaaree dene kee baat kahee lekin ladke ke pitaa ne manaa kar diyaa. Unkaa ek hee demand hai ki baaraat kaa swaagat shaahee andaaj men ho.
                                                        Kitane udaar vichaar hain? Is udaartaa kee jitnee prashansaa kee jaay kam hogee. Ek mahatwapoorna baat kee or dhyaan aakrishta karnaa chaahtaa hoon. Baraat ko swaagat ke shivaa aur kyaa lenaa denaa hai? Aaj- kal ke baaraat ke swaagat se main vilkul sahmat nahee hoon. Log daan-dahej men kaafee kharch karte hain lekin baaraat ke swaagat me gareebee dikhaate hain. Sankhyaa ke maamle men kaafee vriddhi ho gayee hai. Pahale ke das-bees ki jagah sau-derh sau to mamoolee baat hai. Keval daal-bhaat khilaa do, ho gayaa swaagat. Kaee jagah to bhojan par bhee aafat hai. Baaraatee ke swaagat ke liye mukhya jawabdehee ladkaa paksh kee hai. choonkee wahee baarat le jaate hain. Agar we tyaag dikhaayenge to saandaar swaagat ho saktaa hai. Lekin aisaa ho nahee paataa hai. Unhe swayan ke liye bharpoor daan dahej mil gayaa, kaafee hai. Baarat ke swagat se unhe kuchh bhee lenaa-denaa nahee hai. Ladkee waalaa bhee kewal samadhee ko khush rakhnaa chaahtaa hai. Baarat ke swaagat ki ushe kuchh bhee chintaa nahee. 'Miyaan-bibi raajee to kyaa karegaa kaajee.' Bahuto ladkee ke baap ko kahte sunaa hai 'I don't care for baaraats.'
                                                Ladke ke pitaa kee iksha hai ki shaadee Patna men ho. Kewal yahi thoda kathin kaam hai, lekin jahaan ladke ke pitaa ne itnaa tyaag dikhaaya wahan yah kathinai phool sadrish hai. Bareli me to unkaa saamraajya hai. Wahaan sachmuch shaahee swaagat hotaa. Lekin Chaudharyjee kaafee udaar vyakti hain. Swaagat men koee kor-kasar nahee chhodenge.
                                                 Leelaajee ke sabse bade saadhoojee ke baare men kaafee-kuchh sunaa thaa, aaj pratyaksh darshan hue. kuchh log door se sunane men bade lagate hain, najdeek pahunchane par baune dikhai padte hain. Iske wipareet kuchh log door se jitnee oonche sunane me aate hai, najdeek jaane par aur oonchaa maaloom padte hain, wilkul pahaad kee tarah. Bade saadhoo doosaree koti ke moorta roop hain. Sansaar ke sabhee vishayon par we saadhikaar bole sakte hain. Unkaa prakriti-prem anupam hai. Vishaakhaapatnam Steel Plant se kaafee uchch pad se retire hue hain. Town planner ke roop men inkee sevaa saraahneeya rahee hai. Plannedway men inhone aavaaseeya kshetra ko ek vrihat udyaan kaa roop diyaa hai.
                                             Unkee jeevan shailee anukarniya hai. Unhe koee wimaaree nahee hai. Abhee unkee umra shaayad 72 warsh hai. Is umra men BP, Diabetese, hriday-rog aadi anek wimaariyon ka hona swaabhaavik hai. Lekin parhej se rahnaa to koi unse seekhe. Cheenee khaanaa wilkul chhod diyaa hai unhone; tel-mashaalaa ki aadat hee nahee hai. Ek-do rotee kaafee hai. Sab-kuchh chhod sakte hain lekin subah-shaam kaa tahalnaa nahee. Bahattar saal ke yuvaa ko dekhnaa ho to aap unhe dekhen.
              Saamajik reeti-riwaaj ki unhe poorna jaankaaree haiaur kathortaa poorvak paalan karna koi unse seekhe.
                          Unkaajeevan poorna aadhyaatmik hai.Guru Baabaa (Bhagvaan Ramana Maharshi) ke vichaar ki unhe pooree jaankaaree hai. Aur bhee guruon ke gyaan ke ware me unse jaankaaree prapt kar sakte hain.
       Leelaajee sabhee saadhoo bahut achchhe hain. Sabse bade ko to sabse vrihat hona hee chaahiye.   

No comments:

Post a Comment