chiranjeevee दीपू, शुभाशीष. कुछ व्यक्तिगत अनुभव को आपके साथ शेयर करना चाहता हूँ.नीलू, विमलजी भी इन बातों को पढ़ लेंगे तो और अच्छा.विनम्रता एक ऐसा गुण है जो सदा विजयी होती है. आप कितने भी उच्च शिखर पर पहुँच जांय लेकिन नम्र रहें. किसी को भी तुच्छ न समझें. न जाने किस भेष में नारायण मिल जाय. जिसको आप अदना समझते हैं,हो सकता है विपत्ति में वही सबसे बड़ा sahaayak सिद्ध हो. दरभंगा kee ek घटना याद aa रही hai. हमलोग कुष्ट-rogiyon ke liye ek makaan banaa rahe the. Log kusta rogiyon se ghrina karte hain. Lekin ghrina ki koee baat nahee hai. Usse prem kar ke dekhiye tab pataa chalegaa ki bhagvaan aapse kitnaa prem karte hain. Kaneey Abhiyantaa Rajendra Prasaad kaa chitta kuchh chanchal ho gayaa tha. Hamlog pratham manjil par chaay pee rahe the. Achaanak Rajendra Prasaad girne lagaa. Ek kusta rogee ne ishaaraa kiya. Maine turat use pakraa. Wah behosh ho gayaa. main chintit ho gayaa. kuchh samajh men nahee aa rahaa thaa. main soch hee rahaa thaa ki kyaa kiyaa jaay ki itne men hi kyaa dekhtaa hun ki chaar majboot kushta rogee ek khatiyaa le aaye. us par Rajendra Prasaad ko sula diyaa. Chaaro khatiyaa kandhe par uthaakar immergency ward ki or chal pare. aage-aage Raajendra Prasad ko liye kusta rogi aur peechhe-peechhe main. Raaste men ek parichit doctor mile. maine unse sab baaten kahee. Unhe lakwaa kaa sak huaa. Lekin jaanch kar bole ki aisee koee baat nahi hai. Surgical ward ke beech se jab hamlog immergency ki or jaa rahe the to Raajedra prasaad ko hosh aa gayaa. apne ko aakaash me khatiyaa par paakar wah kuchh samajh nahee paayaa aur sir uthaayaa. Maine use lete rahane kaa ishaaraa kiyaa. aapaatkaaleen ward men jaakar daktaron ne jaancha to sab kuchh normal tha. B.P. bhee normal thaa. Raajendra prasad ko kuchh davaa dekar chhod diyaa gayaa. uske ghar baalon ko kuchh maaloom nahee thaa. main usko leker uske ghar pahunchaa aur saari baaten batlaayee. lekin unlogon par koee asar na dekh mujhe lagaa ki ye log purba se hi is haalat ke abhyasta hain.
Main ghar aa gayaa lekin wah ghatnaa hameshaa yaad aatee hai. kustarogiyon ki madad kabhee bhoolane baali baat nahi hai. kusta rogi men rogi shabda par mujhe aapatti hone lagee hai. Ek mareej kis tarah ek swastha ka ilaaj karataa hai. agar us roj kusta rogi nahee madad karte to kya hota?--------------------ohm shree ramanaay swahaa.
Main ghar aa gayaa lekin wah ghatnaa hameshaa yaad aatee hai. kustarogiyon ki madad kabhee bhoolane baali baat nahi hai. kusta rogi men rogi shabda par mujhe aapatti hone lagee hai. Ek mareej kis tarah ek swastha ka ilaaj karataa hai. agar us roj kusta rogi nahee madad karte to kya hota?--------------------ohm shree ramanaay swahaa.
No comments:
Post a Comment