Wednesday, December 25, 2013

NELSON MANDELA (18.07.1918-05.12.2013)


Ashwet kranti ke janak Nelson Mandela ab hamaare beech nahi rahe. Koee ek dhun kaa pakka vyakti bhee asambhav ko sambhav kar saktaa hai; uske murta roop Mandela the. Hamne is dard ko sadiyon jhelaa hai. Angrejee raaj me hamaaree sthiti jaanwaron ke samaan thee. Yogya hote hue bhee keval rang bhed ke kaaran ham uchit pad, suvidha evan avsar nahee paa sakte the. Gaandheejee ke paas uchit ticket rahate hue bhee unhe train ke fast class dibbe se neeche fenk diyaa gayaa thaa. Johaansberg me bagghee se kaise unhe giraane kee kosis huee thee, kisee se chhipee nahee hai. Usee karee ke, usee mittee se bane hamaare Mandelaa bhee the. Unhone pooree javanee jail me bitaayee lekin antatah jeet haasil kee. Hamane unhe BHAARAT RATNA se sammanit kar sahee arthon men is upaadhi ko vibhooshit kiyaa.
Dakshin Africa ke pahale ashwet rashtrapati ne hame hak ke liye hameshaa ladnaa sikhaayaa lekin doosare ke adhikaar kaa ullanghan na ho. Unkaa aadarsh thaa, ' Swatantra loktaantrik samaaj jahaan sabhee sauhaarda poorna evan samaan bhaav se rahe'. Gaandhee se utprerit Unakaa jeevan unake aadarson kee prayogshaalaa thaa. Gaandhi swatantrataa ke sootradhaar hote hue bhee, kabhee sattaa-sukh kee ore murkar nahee dekhe. Mandelaa raashtrapati bane lekin wahaan bhee aadarshon ko nahee chhode. Raashtrapati hote hue bhee apane haath se kaam karte the.
Bhale hee unpar aatankvaad aur gurilla yuddha apanaanewaalaa bataayaa jaataa hai lekin unhone daavaa kiyaa thaa kee unake sangathan dwaaraa ek bhee vyakti ghaayal yaa mritu ko prapt nahee hua. Inke mukadme me yahee judgement judge ne bhee diyaa aur iseeliye inhe mritu dand nahee diyaa gayaa.
 yahee udaarataa unhone sattaa haath me aane par apnayee. Jaisaa aksarhaan anya jagahon par paayaa gayaa hai ki sattaa parivartan ke baad nav sattaroodh logon ne apane virodhiyon se chun-chun kar badalaa liyaa hai. Falswaroop ashthirataa kaa vaataavaran varshon tak banaa rahataa hai. Dakshin afrikaa satta parivartan ke vaad bhee asthir nahee hua. Unhone kshamaa bhaav ko apanaayaa aur sabke saath pyaar aur aadar kaa bhaav rakhaa. Gandhi kee tarah unhe bhee logon ne pitaa kaa darjaa diya.
Unakee jeevatataa hamaare liye anukarneeya hai. apane lakshya 'nyaay aur samman, rangbhed kaa nash aur dakshin africa kee aajaadee' ko praapta karne ke liye unhone apane saare sukhon kee kurvaanee de dee, itanaa tak kee unkee patnee se bhee unkaa talaak ho gayaa. we sattaais varsha tak jail me rahe lekin toote nahee aur antatah lakshya kee prapti kee.
we antrraashteeya star ke dhaai sau se adhik upaadhiyon se vibhoosiit hue.1993 me nobel shaanti purashkaar, sanjukta raashtra presidential medal auf freedam, bhaarat ratna, soviet order of lenin unme pramukha hain.
we sachche arthon me gaandhee ke pakke shishya the. unake avsaan se sampoorna vishwa me ek rikti ho gayee hai jisakee bhaarpaayee jaldee sambhav nahee hai. ----us mahaan aatmaa ko sat sat shraddhaanjali.

No comments:

Post a Comment